Khush kaise rahe How to be happy

Khush kaise rahe

Kush kaise rahe, Jeevan me khush rahna hamare liye sabse zyada zaroori hai. Hum Jo bhi kaam karte hai wo hamare Khushi ke liye karte hai. To hum aaj batayenge ke jeevan me khush kaise rahe

Jeevan me khush rahna har koi chahta hai, hum sabhi log kahin na kahin khushiyon ki talash me khoye rahte hai, ek tarah se hamare jeevan ka maqsad hi khush (happy) rahna hota hai.

Khushi ke bina Zindagi me nirash aur mayoos hona padta hai, Zindagi bekar si lagni lagti hai, Khushi ke pal Zindagi ko ek dum majedar banata hai. Khushi ke pal hamesha yaadgar rahte hai. To hum kahin na kahin search karte rahte hai ki khush kaise rahe aur hamesha motivated kaise rahe.

Read This Also

Jeevan me hamesha motivated aur inspired rahne ke liye jeevan me khush rahna bahot zaroori hai.

Jab insan dukhi hota hai to wo pareshan rahta hai, man me bahot sare negative vichar chalne lagte hai, negativity us par chhah jati hai, aur wo apne bhavishya ko le Kar chinta karta rahta hai.

har Kam me nakaratmakta ko dhondta rahta hai, aur koi bhi kam man se aur utsahapurvak nahi karta.

Khush kaise rahe How to be happy in life?

Hum daily life me itna busy ho chuke hai ki sahi se Zindagi jina hi bhul jate hai. Aur phir tension me Zindagi gujarti rahti hai.

Chaliye jante hai ke jeevan me khush rahne ke liye Kya karna hoga. Jeevan khush kaise rahe.

Khush kaise rahe some tips to be happy in life

  • Don’t compare yourself with others
  • Do what you love
  • Ignore small things
  • Live with purpose
  • Think positive
  • Live in the present moment
  • Help to needy people
  • Learn something new everyday
  • Focus on solutions
  • Do care of your health

To chaliye in sare tips ke bare me details me jante hai. Isse hmko help hogi ki zindagi me khush kaise rahe.

Jo apko pasand hai wo karo (Do what you love)

Aapko Jo kaam achha lagta hai wo karo, dusron ke liye aap apni khusi barbaad mat karo. Agar aap ek student hai apka interest medical me hai, lekin aap apne friend ko dekh kar engineering Karne lagte hai. Aesa Karne se aap kabhi khush nahi rah payenge,
Jeevan me wahi Kam karna Jo apko pasand ho.

Apne aap ko dusron se compare mat karo ( Don’t compare yourself with others)

Hum apne apko dusron se compare karke (compare) dukhi hote hai.

jaise uske pass bahot sare paise hai, mere pass nahi, wo bahot achha aur handsome dikta ya dikti hai Mai nahi, uske pass badi gadi hai, mere pass nahi.

Aesa sonchne se hum sirf dukhi hote hai. lekin humko aesa nahi karna chahiye, hum apne apko aage badane ki koshis karni chahiye.

Chhoti chhoti baton ko ignore karo

Chhoti chhoti baton ko ignore karna sikhiye, agar aap har bat ko personally lenge to aap khush nahi rah payenge, khush rahne ke liye open minded rahna padega, chhoti chhoti baton ko bhoolna hoga.

Uddesh purvak jiye

Jeevan me wahi insaan khush rahta hai jinka koi maqsad rahta hai, bekaar insaan ke dimag me hamesha kuch na kuch chalte rahta hai, isliye apko apne jeevan ka uddesh Jan lena chahiye, Taki aap us Kam ko Karne me vyast rah sake.

Sakaratmak sonche

Agar aap jeevan me kush rahna chahte hai to apko hamesha sakaratmak sonchna hoga (positive think), agar aap nakaratmak sonchte hai to aap hamesha pareshan rahoge, aur apko Khushi kabhi nahi milegi, isliye Khush (happiness) rahne ke liye sakaratmak (positive) sonchna bahot zaroori hai.

Vartamaan me jiye (live in present moment)

Scientiston ke anusar jyada tar logon ka samaye bhutakal aur bhavishya Kal ke bekar baten sonchne me hi jata hai.
Hamari pareshani aur samasyaon ka Karan bhutakal aur bhavishya Kal ko sonchna hota hai.
Isliye Khush rahne ke liye hamesha vartamaan me jeena zaroori hai.

Samadhan par dhyan de ( focuse on solutions )

Hum log zyad tar samasyaon par focuse karte hai, jaise ki ye musibat mujhpe kyun ayi, aesa Mera sath kyun hua, balki humko to Inka Hal nikalne ki koshis karna hoga.
agar hum samasyaon par dhyan de to samasya ka Hal to nahi niklega, humko sonchna chahiye ki is samasya Hal kaise nikale. Isliye Khush rahne ke liye hamesha samadhan par dhyan Dena chahiye.

Dusron ki madad Kare ( help to needy people)

Dusron ki madad karna aur unki sahayta Karne se bhi hame bahot sari Khushi milti hai. ” Isiliye to kahte hai ki khushiyan batne se aur badte hai “. Dusron ki khushi me apni Khushi talash Kare, Yani dusron ki madad karke unko khush rakhe aur aap bhi khush rah.

Har din kuch Naya sikhen ( learn something new everyday )

Jeevan me sikhne ke liye bahot kuch maujud hai, Zindagi me bahot sare chize hai jise hum nahi jante, Lekin wo hamare liye sikhna zaroori hota hai, hame wo chiz sikhne se fayeda hota hai, hamara knowledge badta hai, har din Naya sikhne se hum bahot kuch maloomat Kar sakte hai, hamari khushiyan badha sakte hai.

Swasth ka dhyan rakhe

Hamare sharir aur man ek dusre se juda hota hai, agar hamara Shari swasth hai to hamara man bhi swasth rahega. Agar sharir aswasth hai to man bhi pareshan hoga. Isiliye swasth rahna bhi khush rahne ke liye zaroori hai.

Umeed karte hai Doston Kush kaise rahe aap sabko hamare tips pasanad aye honge, agar pasand aye hai to apne Doston ke sath zaroor share kijiye Taki unhe bhi khush rahne me madad hogi.

Agar aapka koi sawal hai to aap comment karke bejhijak pooch sakte hai, hum zaroor apke sawal ka jawab denge.

5 thoughts on “Khush kaise rahe How to be happy”

Leave a Comment